NAIN CSC & ONLINE CENTER

"हर ऑनलाइन काम, अब और भी आसान।"

--:--:-- | लोड हो रहा है
अपडेट लोड हो रहा है...
आज का अपडेट लोड हो रहा है...सभी फॉर्म्स के लिए यहाँ क्लिक करें

E-Shram Card – Unorganized Workers Registration

Welfare & Schemes

Visit Site

E-Shram Card Kya Hai?

E-Shram Card unorganized sector ke workers ke liye hai – mazdoor, rickshaw chalak, dukandaar, ghar me kaam karne wale, etc. Registration se 2 lakh ka free accident insurance milta hai aur government schemes ka labh.

E-Shram card unorganized workers ka digital identity card hai. Registration se future welfare schemes ka labh automatically milega aur 2 lakh ka accident cover turant active hota hai.

Iske Fayde

  • 2 lakh ka free accident insurance milta hai
  • Future government schemes ka automatic benefit
  • Digital identity milti hai worker ko
  • Free me ban jata hai – koi fees nahi

Kaise Karein – Step by Step

  1. 1E-Shram portal par jaayein ya CSC center aayein
  2. 2Aadhaar se registration karein
  3. 3Occupation select karein
  4. 4Bank details daalein
  5. 5OTP verify karein
  6. 6E-Shram UAN card generate hoga

Zaruri Tips

  • Aadhaar linked mobile number se hi registration hota hai
  • Kisi bhi CSC center se free me ban jaata hai
  • Card download karke phone me save rakhein

Aksar Puchhe Jaane Wale Sawal

E-Shram card ke kya fayde hain?

2 lakh accident insurance free, aur future me government welfare schemes ka direct benefit milega.

Kya sab log E-Shram card banva sakte hain?

Sirf unorganized sector workers jinki income 15000/month se kam hai aur jo EPFO/ESIC member nahi hain.

Hum Aapki Madad Kar Sakte Hain

Agar aapko E-Shram Card me koi problem aa rahi hai ya aap khud se nahi kar pa rahe, to Nain CSC Center (Nain Photostate Danoda), Jind par aayein. Hamare trained operators aapka poora kaam karwa denge - form filling se lekar final submission tak.